Saturday, October 21, 2006

Dil Ke Veeranon Mein Qandeelein





Dil Ke Veeranon Mein Qandeelein Jalaya Na Karo
Yun Sar-e-Shaam Yahan Ashk Bahaya Na Karo



Khoon Rista Hai Abhi Tak Mere Armaanon Se
Tum Yaqeen Mujhko Mohabbat Ka Dilaya Na Karo



Yahan Jazbaat Ko Aansoo Nahin Mil Payeingey
Dil Ke Shikwon Ko Sar-e-Bazm Numaya Na Karo



Ab Jo Barseingey Angaar Tou Jal Jaane Do
Badlon Tum Mere Ser Pe Yun Saaya Na Karo



Hum Woh Rind Jo Ab Peetey Hain Lahu Ashkon Ka
Ab Kisi Maiy Ko Nigahon Se Pilaya Na Karo



Bakhsh Do Mujhko Takayyul Mein Hi Apne Sitam
Tum Adawat Hi Karo Mujhko Paraya Na Karo



Dil-e-Hassaas Ko Her Baat Giraan Guzre Hai
Phool Se Khelti Titli Ko Udaya Na Karo



Tum Ke Khud Aik Chiragh-e-Alam-Afroz
Tum Muqabil Koi Shamma Jalaya Na Karo



Gham Na Chup Payeingey Ghaali Yun Muskuraney Se
Lub Pe Be-Noor Tabassum Ko Sajaya Naa Karo

Tuesday, October 17, 2006





Raastey Teri Duniya Ke Jo Aasaan Hotey
Haiwaanon Ki Basti Mein Bhi Insaan Hotey


Acha Tha Ke Kerta Na Tu Insaan Ko Paida
Na Tou Duniya Mein Ye Aatey Na Parishaan Hotey

Kaash Aik Bhookh Ye Tu Ne Na Banayi Hoti
Kaash Dil Ke Kisi Goshey Mein Na Armaan Hotey

Hota Hi Kya Yahan Jo Agar Hotey Na Hum Tum
Koi Bostaan Bhi Na Hota Na Bayabaan Hotey

Hum Sharerr Theiy Tareekiyaan Muqaddar Theiy
Aah...Mahtaab Na Theiy Ke Ifshaan Hotey

Tum Ne Awaaz Na Di........... Na Sahi
Khudrayi Pe Bhala Hum Phir Kyun Pasheymaan Hotey

Ye Gham Meri Zeest Ka Taqaza Theiy
Tum Na Hotey Tou Kayi Doosrey Samaan Hotey

Sunday, October 15, 2006



Hum Jo Aksar Udaas Rehtey Hain
Gham Kayee Aas Paas Rehtey Hain


Phir Bhi Umeed Ber Nahin Aati
Muddaton Mehv-e-Aas Rehtey Hain


Phir Kaho Tum Ke Hum Tumharey Hain
Na Gahan Iltebaas Rehtey Hain


Thaam Le Dil Bikherta Jaye Hai
Iss Mein Tere Asaas Rehtey Hain


Ab Bhi Dil Pe Jo Naaz Kertey Hain
Hum Se Kuch Kum-Shanaas Rehtey Hain


Gham Ki Aisi Sharab Payi Hai
Pe Ke Hum Bad-Hawaas Rehtey Hain

Friday, October 13, 2006

Ashk Ban Ker Teri Aankhon Mein




Ashk Ban Ker Teri Aankhon Main Utar Aayeingey
Hum Tou Khusboo Hain Hawaaon Mein Bikher Jayeingey

Umr-e-Siyaah Ka Hoga Phir Na Hamein Malal
Chund Lamhe Jo Tere Pehloo Mein Guzar Jayeingey

Apni Zulfein Rukh-e-Roshan Pe Bikherey Rakhna
Woh Bhi Sharmaeingey Badal Jo Idhar Aayeingey

Aik Lamha Humein Deedar Ki Mohlat De De
Ab Chale Hain Teri Mehfil Se Kidhar Aayeingey

Waqt-e-Be-Rabt Nahin Laut Ke Aane Wala
Yaad Reh Jayeingey Lamhe Jo Guzar Jayeingey

Naam Tak Baaqi Na Bacheyga Meri Tehreeron Ka
Waqt Ke Saath Sabhi Hurf Bikher Jayeingey

Jeete Hain Baarishon Ko Aankhon Se Door Ker Ke
Ashk Ubhreingey Tou Kuch Naam Ubhar Aayeingey

Wednesday, October 11, 2006

Thamay Thamay Se Iss Waqt Se....

Iss Waqt JabKe Tum Bhi Nahin
Koi Aarzoo Nahin Koi Justajoo Nahin

Naa Tou Qurbatein Hain Naa QehQahey
Koi Dost, Dushman, Âduv Nahin
Khada Uss Jageh Pe Hoon Jahan
Jo Main Chahoon Tou Khudd Ko Miloon Nahin

Naa Tou Dil Yeh Mera Udaas Hai
Naa Kisi Ke Aane Ki Aas Hai

Naa Tou Maykashi Main Hai Dilkashi
Naa Labon Pe Mere Hi Pyaas Hai

Naa Tou Yaad Mujhko Raha Koi
Naa Kisi Ko Yaad Main Aa Saka

Naa Tadap Rahi Naa Kasak Rahi
Naa Main Ashk Koi Baha Saka

Yeh Bada Ajeeb Sa Daur Hai
Main, Main Nahin Koi Aur Hai

Yahan Bezubaan Hain Aah-o-Karb
Khamoshiyon Ka Shor Hai

Yahan Waqt Ab Yeh Thehar Gaya
Jo Guzar Gaya Woh Guzar Gaya

Zara Dekh Mujhko Tatol Ker
Main Hayat Hoon Ke Mer Gaya

Koi Ahsaan Hai Jo Kiye Jaata Hoon
Bas Ke Zinda Hoon Jiye Jaata Hoon

Thamay Thamay Se Iss Waqt Se....
Bas Itna Poochna Chahta Hoon Main

Guzar Gayi Hai Jab Zindigi Yun Hi...

Tou Yeh Waqt Kyun Thama Hai...

Guzar Kyun Nahin Jaata.......